Bewafa - Dard Shayari #3

Wo kehte hain humse ki majboor hai hum,
Na chaahte hue bhi tumse door hai hum,
Din ka chain raato ki neend tak udaa li,
Phir bhi kehte hai ki beqasoor hai hum.

Wo bewafaa hai bewafaa sahi,
Wo khafaa hai khafaa sahi,
Unke liye hum de denge apnaa dill,
Lekin hamaare liye unke dil me koi jagah nahi.

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha,
Ek main hi akela tha aur kaafila bhi uska tha,
Umra bhar saath chalne ki soch bhi uski thi,
Phir raaste badalne ka faisla bhi uska tha,
Mujhe bhool jaane ki zidd bhi uski thi,
Phir mujhe paane ka hoslaa bhi uska tha,
Aaj akela hoon phir bhi dil sawaal karta hai,
ki loug to uske the par kya khudaa bhi uska tha.

Mat poochh mere sabra ki intehaan kahaan tak hai,
Tu kar le sitam teri taakat jahan tak hai,
Wafaa ki ummeed jinhe hogi unhen hogi,
hamein to ye dekhna hai ke tu bewafaa kahan tak hai.

Ek bewafaa ke zakhmo par,
marham lagaane hum gaye,
marham ki kasam marham na mila,
marham ki jagah mar hum gaye.

Read the above Hindi Shayaris With English translation

1 comment:

  1. Always keep sending information like tips, and ‘have you know’ facts about your industry and your target audience will in a short while this makes customers to start trusting and referring to your tips.

    ReplyDelete

Please feel free to comment, suggest and even thank.
Your comments are precious for me.

Note: Since anonymous comments are permitted, Every comment is reviewed before being published on this blog