Bewafa - Dard Shayari #1

Maine apnoko door hote hue dekhaa hai
Jo milaa nahi use khote hue dekhaa hai
Log kehte hai phool sadaa haste hai
Maine phoolon ko bhi akele me rote hue dekhaa hai.

Itnee badee duniyaa me koi sahaara nahi
Apno ki bheed me koi hamaara nahi
Kadam ladkhadaaye to unkaa haath thaam liya
Wo bhi haskar bole ab ye haath tumhaara nahi.

Ab ke saal use mera intezaar nahi
Wo jo dil beqaraar thaa ab ki baar nahi
Uss ne mujhe chhord dia bas baat itni si thi
Wo mera pyaar tha mai uska nahi.

Sangeet sunkar gyaan nahi milta
Mandir jaakar Bhagwaan nahi milta
Patthar to log isliye poojte hai
Kyunki vishwaas ke laayak insaan nahi milta.

Kaunsa zakhm tera taro taaza na tha
Zindagi me Itne ghum the ke andaaza na tha
unki jheel si aankho ka is me kya kasoor
doobne waale ko gehraai ka andaaza na Thaa.

Read the above Hindi Shayaris With English translation

No comments:

Post a Comment

Please feel free to comment, suggest and even thank.
Your comments are precious for me.

Note: Since anonymous comments are permitted, Every comment is reviewed before being published on this blog